SocialTwist Tell-a-Friend

January 21, 2010

14

> Log mohabbat ko khuda ka naam dete hain,
Koi karta hai to Ilazam kahte hain.
kahte hain Patthar dil raoya nahi karte hain,
Aur patthar ke rone ko Jharne ka naam dete hain.

> Bhigi aankhon se Muskurane ka maza aur hai.
Haste haste palke bhigone ka maza kuchh aur hai.,
Baat kah kar to koi bhi samajh leta hai,
Par khamoshi koi samjhe to maza kuchh aur hai.

> Dil ki Kitab ka Panna Chura le gaya koi,
Neend aankho se uda le gaya koi,
Intazar karne ki aadat nahi thi hume,
Phir bhi intazar karana sikha gaya koi.

> Ajnabi ban ke koi aaya tha,
Aisa laga jaise wo mera saya tha,
Log karte hai Roshni ghar me,
Usne dil me Diya jalaya tha.

> Tanhai me muskurana ishq hai,
Ek baat sabse chupana ishq hai,
Yu to neend bhi nahi aati raat bhar,
Magar aa jaye to sote sote jag jana ishq hai.

> Dur Nigaho se Bar-Bar Jaya Na Karo,
Dil ko Is kadar Tadpaya Na Karo,
Tum Bin 1 Pal Bhi Ji Na Sakenge Hum,
Ye Ehsaas Bar-Bar Dilaya Na Karo.

> Har nami mei kuch kami to rahegi,
Ankhe thodi shabnami to rahegi,
Zindagi ko aap kitna b saawariye,
Bin hamare koi na koi kami to rahegi !!

> Unhe shikayat hai ye humse ki,
Hum har kisi ko dekh kar Muskurate hain,
Na samajh hai wo kya jaane,
Hume to har chehare me wahi Nazar aate hain.

> Ab koi Zamane me na Sahara nazar aaya,
Bas tu hi ek Humara Nazar aya,
Hum tere Ishq me is qadar bahte rahe,
Na tufan nazar aaya na Kianara nazar aaya.

> Meri Chahat tumse alag kab hai,
Dil ki baate tumse chhupi kab hai,
Tum sath raho dil ki dhadkan ki jagah,
Fir Zindigi ko SAANSO ki jarurat kab hai.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off