SocialTwist Tell-a-Friend

March 30, 2010

92

> Ye chhoti si ibadat bada sila degi,
Gulab ki tarah aapka chehra khila degi,
Mat bhulana kabhi humari yaadon ko,
Kyon ki humari yaaden hi aapko hasa dengi.

> Ajeeb lagti hai sham kabhi-kabhi,
Jindgi lagti hai bejaan kabhi-kabhi,
Samajh aaye to mujhe bhi batana,
Kyon pareshan karti hain yaaden kabhi-kabhi.

> Aise mile ki Mulakat na ho saki,
Suraj duba par raat na ho saki,
Humari khamosh nigahen har baat kah gayi,
Aur unko shikayat thi ki Baat na ho saki.

> Waqt ke Dayare se hum Nikal na jaye,
Apke dil se kahin hum utar na jaye,
Hum roz aapko Yaad dilaya karenge,
Warna kahin aap hume bhul na jaye.

> Samjha do apni yaadon ko,
Wo bin bulaye pass aaya karti hain,
Aap to dur rah kar sataya karte hain,
Wo paas aakar hume rulaya kari hain.

> Pahle ye yaaden kabhi tanhai na thi,
Kabhi dil pe ye madhosi na thi,
Jane kyon asar kar gayi aapki baate,
Pahle kabhi kisi ki itni yaad na aayi thi.

> Hum jab is duniya se jayenge,
Itni khushiyan aur apna pan de jayenge,
Ki jab bhi yaad karoge mujhe,
Hasti aankhon se bhi aansu nikal aayenge.

> Kabhi sham ko yaad aate ho,
Kabhi subah ko yaad aate ho,
Kabhi Kabhi to itne yaad aate ho,
Ki Aaina hum dekhte hain aur Nazar aap aate hain.

> Bachpan ke dukh bhi kitne achche the,
Tab to sirf khilone tuta karte the,
Wo khushiyan bhi na jane kaisi khushiya thi,
Titli kho pakad ke uchhla karte the.

> Dete hain kyon wo dard bas humko,
Kyon samjhenge wo in aankho ki nami ko,
Laakhon Deewaen ho jis chand ke,
Wo kya mehsoos karenge ek tare ki kami ko.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off