SocialTwist Tell-a-Friend

June 14, 2010

133

> Jigar ke dard me koi marham lagane wala nahi hai,
Dil me lagi hai aag koi bujhane wala nahi hai,
Kisse ummed rakhe is Zamane me yaha,
Sab rulane wale hain hasane wala koi nahi hai.

> Ulfat me kabhi ye hal hota hai,
Hasti hai aankhe magar dil rota hai,
Mante hain hum Manzil apni jise,
Aksar wo Ham safar kisi aur ka hota hai.

> Kuchh bikhre sapne aur aankhon me nami hai,
Ek chota sa asman ummidon ki zami hai,
Yu to bahut kuchh hai zindgi me,
Sirf Jise cahhte hain usi ki Kami hai.

> Wo mujhse yu rooth gaye,
Sare Arman mere yu hi tut gaye,
Nafrat ka nazrana unhone aisa dikhaya,
Wo patthar ban kar jane lage
Aur hum sheesha ban kar tut gaye.

> Sapne ki tarah aa kar chali gayi,
Apno ko bhul kar chali gyai,
Kis bhul ki saza di usne,
Pahle hasaya fri rula ke chali gayi.

> Bebas hai insan kismat ke aage,
Benoor hai sapne hakikat ke aage,
Koi in ruki hui dhadkano se puchhe,
Dil kitna tadpata hai mohabbat ke aage.

> Ek ajeeb sa manjar nazar aata hai,
Har ek qatra samandar nazar aata hai,
Kaise banaun mai mehal kaanch ka,
Har ek hath me patthar nazar aata hai.

> Zindagi ka raz tanhai me pa liya,
Jiska bhi gam mila apna bana liya,
Gam sunane ko jab a mila koi,
To rakha aaina samne aur Khud ko rula liya.

> Dard ne koi mausam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota,
Dekhe zara koi bebasi humari,
Hum uske ho jate jo humara nahi hota.

> Udas na baithna fiza tang karegi,
Gujre hue lamho ki saza tang karegi,
Kisi ko na lana dil ke itna kareeb,
Uske jaane ke baad uski ada tang karegi.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off