SocialTwist Tell-a-Friend

July 16, 2010

148

> Ishq ne hume benam kar diya,
Bennam kar diya khusi se anjan kar diya,
Humne kabhi nahi chaha ke Ishq hume bhi ho,
Par unki ek nazar ne hume nilam kar diya.

> Us se milkar bichhdna to dastoor ho gaya,
Yaadon me dil uske mazboor ho gaya,
Kasur nahi isme kuchh bhi unka,
Humari chahat hi itni thi ki unhe guroor ho gaya.

> Sath hai tasveer yu to yaar ki,
Fir bhi pyasi hai nazar deedar ki,
Jaan de sakta hun mai abhi,
Bas jarurat hai aapke ek ikrar ki.

> Ye yaad hai tumhari ya yaadon me tum ho,
Ye khwab hai tumhare ya khawbon me tum ho,
Hum nahi jante hume bas itna batao,
Tum Jaan ho humari ya Humari Jaan me tum ho.

> Shama ki roshni se andhera door hota hai,
Is duniya me har koi majboor hota hai,
Jo aankhon se jitna door ho,
Wahi Dil ke jyada kareeb hota hai.

> Ek dil hai be juban jo kuchh kah nahi sakta,
Aapki judai ye sah nahi sakta,
Kaash aap samajh jaye is dil ki aawaz,
Ye aapke bina ab rah nahi sakta.

> Chahe dosti ho ya mohabbat,
Surat se nahi dil se hua karti hai,
Surat unki khud achchi lagne lagti hai,
Jinki Kadar Dil se hua karti hai.

> Itna aitbar to apni dhadkano par nahi kiya,
Jitna aapki baaton par karte hain,
Itna Intzar to apni saanso ka nahi karte hain,
Jitna aapke Ek mulakat ka kiya.

> Sapno me aane wale tera sukriya,
Dil ko bahlane wale tera sukriya,
Kaun karta hai is jamane me Pyar itna,
Hume chahne wale aapka Sukriya.

> Aapki yaad me jahan ajeeb lagta hai,
Dhire Dhire pighalne ajeeb lagta hai,
Duniya ke badalne se mujhe farak nahi,
Bas ek aapka badalna ajeeb lagta hai.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off