SocialTwist Tell-a-Friend

October 26, 2010

174

> Barso gujar gaye ro kar nahi dekha,
In aankho ko aansu se dhokar nahi dekha,
Wo kya jane pyar kya cheez hai,
Jisne kabhi kisi ko kho kar nahi dekha.

> Dil ke dard ko zuban par lete nahi,
Hum apni aankh se aansu bahate nahi,
Zakhm chahe kitne hi gahare kyon na ho,
Hum apne doston ko dikhate nahi.

> Tanha ho kar tanhai me kho jate hain,
Jane kyon mere kadam mazboor ho jate hain,
Bhul kar use fir usi ko yaad karte hain,
Mere zakhm bhi jaise usi ke mohtaz ho jate hain.

> Wo ilzam pe ilzam lagate rahe,
Hum khamosh khade haste rahe,
Hosala na hua ki Khata puchh le apni,
Hum dekhte rahe aur wo zindgi se door jate rahe.

> Chaha na mujhse bas dekhti rahi,
Meri Zindgi se wo khelti rahi,
Na utri kabhi zindgi ki jheel me,
Bas kinare par baith ke patthar fekti rahi.

> Khule se dil se milo to saja dete hain log,
Sachche jajbaat bhi thukra dete hain log,
Kya dekhenge do insaanon ka milna,
Bithe hue do parindo ko bhi uda dete hain log.

> Do kadam to sab chalte hain,
Par zindgi bhar koi sath nahi nibhata,
Agar Ro kar bhulai jati yaaden,
To koi has kar Gam nahi chhupata.

> Logo ko ishq kaise hota hai,
Raat din unki yaado me dil kyon khota hai,
Ishq karne wale to humesa khush rahte hain,
Fir koi kyon kisi ke liye rota hai.

> Zindgi ke is mod par ye kaisa waqt aaya hai,
Zakhme is dil ka zuba pe aaya hai,
Nahi rote the hum kaanto ki chubhan se,
Aaj kisi ki yaad ne hume rulaya hai.

> Wafa ke naam se wo anjaan the,
Kisi ki bewafai se wo pareshan the,
Jab humne unhe wafa deni chahi,
To pata chala Hum khud bewafa ke naam se badnam the.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off