SocialTwist Tell-a-Friend

January 07, 2011

201

> Har Dil me dard chhupa hota hai,
Bayan karne ka andaz alag hota hai,
kuchh log aankho se dard bata dete hain,
Aur kisi ka dard hasi me chupa hota hai.

> Bahut tamanna thi pyar ka ashiyana banane ki,
Bana chuke to nazar lag gayi jamane ki,
Usi ka karz hai jo aaj aankh me aansu hai,
Saza mili hai hum muskurane ki.

> Aarju-e-safar ka jab humne irada kiya,
Sath chalne ka usne bhi wada kiya,
Kuchh usko ras na aayi wafa ki baate,
Kuchh aitbar bhi humne jyada hi kiya.

> Dosti tuti to zindgi bikhar jayegi,
Ye aulf nahi jo har bar sawar jayegi,
Tham lo daman uska jo tumhe khushi de,
Warna Ro-Ro kar sari umar gujar jayegi.

> Jara si baat der tak rulati hai,
Khushi me bhi aankhe aansu bahati hai,
Koi mil ke kho gaya, koi kho ke mil gaya,
Zindgi sabki bas aise hi khel khilati hai.

> Ye thandi hawa kya gazab kar gayi,
Purani yaade fir taza kar gyai,
Sukhi padi thi aankhe 1 arse se,
Phir kisi ki yaad inme pani bhar gayi.

> Aaj fir khuda ne mujhse puccha,
Tera hasta hua chehra udas kyon hai,
Barasti nigahon me itni Pyas kyon hai,
Jinki nazron me tu kuchh nahi,
Wo tere liye itna khas kyon hai.

> Kismat ruk gayi dil ke tar tut gaye,
Wo bhi ruth gaye sapne bhi tut gaye,
Khazane me the do aansu,
Jab yaad yai aapki to wo bhi lut gaye.

> Kyon dil ke kareeb aa jata hai koi,
Kyon pyar ka ehsas jaga jata hai koi,
Jab aadat si ho jati hai unko palkon me chhupane ki,
Kyon aansu ban ke nikal jata hai koi.

> Mohabbat ka ajeeb karobar humne kiya,
Wo patthar dil sahi magar pyar humne kiya,
Agar wo inkar bhi kare to unhe bura na kahna,
Kasoor unka nahi Aitbaar to humne ki kiya.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off