SocialTwist Tell-a-Friend

February 04, 2011

217

> Bhigi palko ke moti piro na sake,
Teri yado me sari rat so na sake,
Bheeg na jaye aankho me tasveer tumhari,
Yahi soch soch kar hum ro na sake.

> Ab is intzar ki adat si ho gayi hai,
Zindgi me tanhai ki ek jarurat si ho gayi hai
Par na sikwa na shikayat hume kisi se,
Kyon ki akelepan se mohabbat si ho gyi hai.

> Mohabbat me koi ruswa kar gaye,
Khush the akele lekin zindgi tanha kar gaye,
Jee lete hum unke bina,
Lekin wo dil tod ke bhi sath le gaye.

> Khud ki mohabbat fana kaun karega,
Sab nek banenge to gunah kaun karega,
Ae khuda us bewafa ko salamat rakhna,
Warna roz mere marne ki dua kaun karega.

> Unko khabar hai mere armano ki,
Aaj jarurat padegi kaanch ke paimane ki,
Khali na hone dena jaam warna,
Fir yaad ayegi gujre zamane ki.

> Sahil ki gili ret par maine usse puchha,
Bata tera Shaouk kya hai,
Usne palke jhuka kar muskura kar,
Mera Naam likha aur mita diya.

> Manzil bhi nahi thikana nahi,
Wapas mujhe unke pas jana bhi nahi,
Maine hi sikhaya tha unhe teer chalana,
Ab mere siva unka koi nishana nahi.

> Apnapan sikha kar juda ho gaye,
Na socha na samjha khafa ho gaye,
Ab kisko hum apna kahenge,
Wo bhi auro ki tarah bewafa ho gaye.

> Fir usi chande se dil laga baithe,
Fir usi sadgi se dhokha kha baithe,
Pattharon se Tallkuk tha humara,
Fir bhi sheeshe ka ghar bana baithe.

> Dil me jo dard hai kise bataye,
Haste hue zakhm kise dikhaye,
Kehti hai ye duniya mujhe khusnaseeb,
Magar is naseeb ki dastan kise sunaye.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off