SocialTwist Tell-a-Friend

March 05, 2011

230

> Ek aur zakhm khaa kar dekhenge,
Usko dard apna suna kar dekhenge,
Uski hasrat hai agar dil todne ki,
Dil apna hum shishe ka bana kar dekhenge hum.

> Abhi na mujhe Dafano Dosto,
Mere yar ko jara der se aane ki adat hai,
Abhi na Dalo mere chehre pe kafan,
Unhe ye chehra dekh kar muskurane ki adat hai.

> Hum jal kar bhi roshni failate rahe,
Isliye log hume jalate rahe,
Mere jalane ko kisi ne dekha hi nahi,
Bas meri roshni par hi sab muskurate rahe.

> Kya gam hai kya khushi malum nahi,
Wo apna hai ki ajnabi malum nahi,
Jiske bina ek pal nahi gujarta,
Kaise gujregi Zindgi malum nahi.

> Zindgi ki haqiqat sirf itni hoti hai,
Jab jagta hai to kismat soti hai,
Insan jis par apna haq sabse jyada samajhta hai,
Wo amant aksar kisi aur ki hoti hai.

> Apni halat batate hue Dar lagta hai,
Wo hai masoom rulate hue dar lagta hai,
Waqt se pahle utar jaye na rang kahin,
Unki tasveer banate hue dar lagta hai.

> Kaun kise dil me jagah deta hai,
Pedh bhi sukhe patte gira dete hain,
Wakif hai hum duniya ke riwazon se,
Jaan nikal jaye to apna hi koi jala deta hai.

> Yu dil se dil juda na kijiye,
Zara soch samajh kar faisla kijiye,
Agar aap ji sakte hain mere bina,
To mere liye maut ki dua kijiye.

> Dil se dil ka sauda na karna,
Raat bhar kisi ki yaad me na jagna,
Agar zindgi sukun se kat ti hai to,
Jaan se bhi jyada kisi ko pyar na karna.

> Hum unse aur wo humse juda ho gaye,
Aa gaye mere janaze me to saare wade wafa ho gaye,
Jhuk kar usne meri kabr par kaha,
Aap to sach me humse kafa ho gaye.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off