SocialTwist Tell-a-Friend

May 29, 2011

259

> Kuchh bikhre sapne aur aankho me nami hai,
Ek chhota sa asman aur ummidon ki jami hai,
Zindgi me bas jise chahte hain bas usi ki kami hai

> Phoolon ki chahat hai sabko,
Hum kaanto ke sahare jeete hain,
Humne khaya hai jakhm phoolon se,
Ab kaanto se inko seete hain.

> Sabko pyar dene ki adat hai hume,
Apni alag pehchan banane ki adat hai hume,
Kitna bhi gehra zakhm kyon na de koi,
Utna hi jyada muskurane ki adat hai hume.

> Unka milna bhi ek khubsurat kahani hai,
Unka pyar pana hi zindgani hai,
Muskurahat bhi unke dam se thi,
Aaj ye Dard bhi unki meharbani se hai.

> Kya hun mai aur kya samajhte hain jamane wale,
Har raz nahi hote sab ko batane wale,
Kabhi tanhaiyon me aakar dekhna,
Kaise rote hain sabko hasane wale.

> Tanhai jab muqddar me likhi hai,
To kya shikayat apno se aur begano se,
Hum mit gaye jinki chahat me,
Wo baaz nahi aate hume ajmane me.

> Hasi-hasi me kitno ko hsa diya,
Hasi hasi me kitne gam ko chhupa liya,
Has kar gaya mujh par koi is kadar,
Ki umar bhar ke liye mujhe hasna bhula diya.

> Dil ke bazar me sabse garib hun mai,
Khwabon ki duniya me ek hi badnaseeb hun mai,
Tere paas mere liye waqt hi nahi,
Aur log samajhte hain tere sabse kareeb hun mai.

> Tadape to bahut par wo man nahi paye the,
Is dil ki moabbat jan nahi paye the,
Ek din chale jayenge is duniya se aur,
Wo kahenge laut aao hum apko pehchan nahi paye the.

> Ek lamhe me apne humari zindgi sawar di,
Ek lamhe me apne humari zindgi ujaad di,
Kasur aapka nahi humara tha,
Jo un do lamhe me humne apni zindgi gujar di.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off