SocialTwist Tell-a-Friend

July 20, 2009

08

> Nazar milti hai dil lagaya nahi jaata,
Har milne wale ko apna banaya nahi jaata,
Aur jo Dil me bas jayen ek bar,
Unhe Zindigi bhar bhulaya nahi jata.


> Aaj hum hai to kal yaden hogi,
Jab hum na honage tab humari baaten hongi,
Jab kabhi paltoge Zindigi ke panne,
Apke inhi aankhon se barsate hogi.

> Marne ke baad naseeb me jannt ho na ho,
Ye hawa ye fiza ho na ho,
Are dost Jinda hai tab tak msg bhejo,
Kya pata humari Kabra pe network ho na ho.

> Umar-e-dosti ki sarhade nahi hoti,
Ye wo mulk hai jisme imarte nahi hoti,
Sabhi rahte hai 1 2re ke dil me,
Ye wo adalat hai jaha shikayat nahi hoti.

> Mohabbat ko majburi ka naam mat dena,
Haqeekat ko hadso ka naam mat dena,
Agar dil me ho pyar kisi ki liye,
Use kabhi dosti ka naam mat dena.

> Kahte hain har baat kisi ko kahi nahi jati,
Apno ko bhi sab baat batai nahi jati,
par Dost to dil ka AAINA hota hai,
Aur AAINE se surat chupai nai jati hai.

> Koi dost naya ya purana nahi hota,
Zindigi ka har pal shuhana nahi hota,
juda hona to kismat ki baat hai,
Par judai ka matlab bhulana nahi hota.

> Muskurana hi khushi nahi hoti hai,
Umar bitana hi Zindigi nahi hoti hai,
Dost ko Roz yaad karna padta hai,
Kyonki Dost ko kahna hi Dosti nahi hoti hai.

> Din hua hai to Raat bhi hogi,
Ho mat Udas Kabhi to baat bhi hogi,
Itne Pyar se dosti ki hai khuda ki kasam
Zindigi rahi to Mulakat bhi hogi.

> Mahak Dosti ki ishq se kam nahi hoti,
Ishq se zindigi kam nahi hoti,
Agar Sath ho Zindigi me Achchhe Dost ka,
To Zindigi Zannat se kam nahi hoti.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off