SocialTwist Tell-a-Friend

January 29, 2010

24

> Meri dosti ki itni si kahani hai,
Tuti hui kasti ruka hua pani hai,
Ek gulab kisi ki kitab me dum tod chuka hai,
Aur unhe yaad bhi nahi ye kiski nishani hai.

> Tujhe udas kar ke khud bhi rona tha,
Ye hadsa bhi kabhi hona tha,
Wo mujhe tod kar jodta raha aksar,
Mai uske vaste jaise koi khilona tha.

> Mana ki mere ishq me dard nahi tha,
Par dil mera bedard nahi tha,
Hoti thi meri aaonkho se neer ki barsat,
Par unke liye aansu aur pani me koi fark nahi tha.

> Kab nikalta hai koi dil me bas jane ke baad,
Dard kitna hota hai bichhad jane ke baad.
Jo pas hota hai uski kadar nahi hoti hai,
Kami mehsus hoti hai Door Jane ke baad.

> Unko apne Haal ka hisab kya dete,
Sawal sare galat the to jawab kya dete,
Wo to 3 lafzo ki hifazat bhi na kar sake,
Fir unke hath me Zindgi ki puri kitab kya dete.

> Aaina Kuchh nahi Nazar ka dokha hai,
Nazar wahi aata hai jo dil me hota hai
Aaina aur Dil ka ek hi fasana hai,
Anjam dono ka Toot kar bikhar jana hai.

> Nazar ne Nazar se Mulakat kar li.
Rahe dono Khamosh par bat kar li.
Mohabbat ki Fiza ko Jab Khushk Paya,
In Aankhon ne Ro kar Barsat kar li.

> Jo nahi aata uska intejar kyon hota hai,
Kisi ke liye apna ye hal kyon hota hai,
Waise to is duniye me kafi log pyare hain,
Jo nahi mil sakta usi se pyar kyon hota hai.

> Tumse Dur jane ka irada na tha,
Sada sath r ahne ka vada na tha,
Tum yad na karoge ye jante the hum,
Par itni jaldi bhul jaoge ye andaza na tha.

> Mana ke aaj hum akele rah gaye,
Gum Aansu bhi aankho se bah gaye,
Kaun chup karayega in rone walo ko,
Jo chup karate the wahi rone ko kah gaye.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off