SocialTwist Tell-a-Friend

February 12, 2010

45

> Hum bhi hain Dilwale ye kahane se Nahi Darte,
Yaari Karte hain Yaron se daga nahi karte,
Door Rahte hain Beshak doston se,
Par kabhi Bewafai nahi karte.

> Humare bin adhure tum rahoge,
Kabhi Koi dost tha tum khud kahoge,
Na honge hum to koi alam na hoga,
Milenge bahut se par koi hum sa na hoga.

> Kisi ko pass ane me waqt lagta hai,
Kisi ko apna banane me waqt lagta hai.
Jab Manga Khuda se aap jaise dost,
Usne kahan Anmol chiz banane me waqt lagta hai.

> Zindgi ki Rah me jab aage aaoge,
Apne Pichhe ek Saya Paoge.
Mud ke Dekhoge to tanhai hogi,
Agar mahsoos Karoge to humko Paoge.

> Kabhi Hosla bhi ajmana chahiye,
Bure waqt me Muskurana bhi chahiye,
Chahe kitni bhi kathin Ho rahe,
Har waqt Doston ka Sath Nibhaba chahiye.

> Khuda ne kaha dosti na kar,
Dost ki bhid me tu kahin Kho jayega,
Maine Kaha aye Khuda tu Zameen pe aa kar kabhi mere dost se mil,
Tu bhi Uper jana Bhul Jayega.

> Sabhi Nagme Saaz me gaye nahi jate,
Sabhi log mahfil me Bulaye nahi jate,
Kuchh pass rah kar bhi yaad nahi aate,
Kuchh door rah kar bhi bhulaye nahi jate.

> Har kadam par Imtihan leti hai zindgi,
Har waqt naya sadma deti hai zindgi,
Zindgi se Sikwa kare bhi to kaise,
Aap jaise dost deti hai Zindgi.

> Aapki Duao se hume wo sahara mila,
Jo mil na saka wo kinara mila,
Kin Lafzon me bayan kare ki,
Jane kitno ki bhid me koi itna pyara mila.

> Aap nahi to Zindgi me kya rah jayega,
Door tak Tanhaiyon ka silsila rah jayega,
Har kadam pe sath chalan ae dost,
Warna aap ka ye dost akela rah jayega.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off