SocialTwist Tell-a-Friend

February 18, 2010

57

> Dard se hath na milate to kya karte,
Gum ke aansu na bahate to kya karte,
usne mangi thi roshni ki dua,
Khud ko na jalate to kya karte.

> Kitna badal gaye wo halat ki tarah,
Jab bhi mile, mile ek anjan ki tarah,
Kya gila kare apni Zindgi se,
Ek zindgi bhi mili to ehsaan ki tarah.

> Log aksar Dua karte hain,
Khuda pyar karne walo ko kabhi juda na karwaye,
Par hum to humesa kahenge,
Ki jo na ho kismat me khuda usse pyar karwaye na.

> Rulane wale akhir hume rula denge,
Zahar dekhar Gehri neend sula denge,
Phir bhi koi gum na hoga,
Dard to hoga tab jab aap hume bhula denge.

> Kabhi na aaya wo mere sath chal ke,
humesa gaya mujhe naaraz kar ke,
Maut par agar aaye meri to kah dena,
Abhi abhi soya hai tumhe yaad kar ke.

> Shabd milte nahi To Saz kahan se laun,
Mook ho gaya hun mai aawaz kahan se laun,
Jin Adao ki panah me Saaz likhate hain,
Wo ada hi na mile to Alfaz kahan se laun.

> Kisi din aapki Nazaron se door ho jayenge hum,
Door kahin Fizaon me kho jayenge,
Meri Yaadon se lipat ke rone aaoge aap,
Jab Zameen ko odh ke so jayenge hum.

> Kabhi Himmat se to kabhi hosle se har gaye,
Hum badnaseeb the jo har kisi se har gaye.
Ajeeb khel ka maidan hai ye Duniya ka,
Jisko hum jeet chuke the usi se har gaye.

> Bikhre hai ashk mere koi saaz nahi deta,
Khamosh hai yaha sab koi aawaz nahi deta,
Kal ke wade to sabhi karte hain,
Magar sath mera koi kyon aaj nahi deta.

> Thukra de koi to dil tut jata hai,
Tod deti yaaden jab koi apna samjh nahi pata hai,
Sach kahte hain Duniya wale,
Insaan dimag se nahi Dil se har jata hai.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off