SocialTwist Tell-a-Friend

February 19, 2010

58

> Socha tha is kadar usko bhul payenge,
K dekh kar bhi andekha kar jayenge,
Par jab-jab samne aaya uska chehra,
Socha is baar dekh le agli bar bhul jayenge.

> Kuchh beete hue Lamho se Mulakat hui,
Kuchh tute sapno se baat hui,
Yaad jo karne baithe un tammam yaadon ko,
To unki hi yadon se suruaat hui.

> Kitni Jaldi mulakat gujar jati hai,
Pyaas bujhti nahi barsaat gujar jati hai,
Yadon se kah is tarah na aaya kare,
Neend aati nahi aur raat gujar jati hai.

> Yaad aayi jab mujhe aapki,
Dil ne mahsoos ki kami aapki,
Ye aarzoo nahi ki aapko sataye hum,
Bas itna kafi hai do pal ke liye yaad aye hum.

> Har mod par nai suruaat ho sakti hai,
Door rahkar bhi baat ho sakti hai,
Mana ki hum aapse door hain bahut,
Par aankhe band kar lo to mulakat ho sakti hai.

> Maang ke bhi rab se unhe paya nahi,
Konsa khwab jise maine sajaya nahi,
Wo to mujhe bhul jayenge mujhe maloom tha,
Maine to koi lamha bhulaya nahi.

> Tute hue dil k tukde jud nahi pate,
Dil me daag ho to dhul nahi pate,
Taqleef tab nahi hoti jab aap yaad nahi karte,
Taqleef tab hoti hai jab hum yaad nahi karte.

> Tum ho subah aur tum shaam ki tarah,
Tum khayalon ke piagam ki tarah,
Tumko humne kab bhulaya hai,
Tum yaad rahte ho mujhe mere name ki tarah.

> Koi hai jo dua kiya karta hai,
Apno me hume gina karta hai,
Bahut khusnaseeb samajhte hain apne aapko,
Kyon ki wo door rahkar bhi hume yaad kiya karta hai.

> Karoge yaad fir gujre zamane ko,
Tarsoge sath mere ek pal bitane ko,
Fir aawaz doge hum bulane ko,
Aur hum kahenge darwaza nahi hai kabra se bahar aane ko.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off