SocialTwist Tell-a-Friend

April 17, 2010

104

> Jinki Aankhon aansuon se nam nahi,
Kya samajhte ho unhe koi gam nahi,
Tum tadap ke ro diye to kya,
Gam Chhupa ke bhi hasane wale kam nahi.

> Maine sapno ko door hote dekha hai,
Jo mila nahi use khote dekha hai,
Log kahte hain phool sada muskurate hain,
Maine akele me phoolon ko rote dekha hai.

> Jindgi ke mod me kaisa waqt aaya hai,
Ruk si gayi saanse aur dil ghabraya hai,
Har dost ka akelapan door kiya humne,
Or khud ko har mod pe akela paya hai.

> Chaho to tum hume dil se mita dena,
Chacho to tum hume bhula dena,
Magar tum humse ek wada kar,
Aaye kabhi yaad humari to sochna mat bas muskura dena.

> Adat hai teri yaad aane ki,
In aankho ko teri jhalak pane ki,
Humari to tamnna hai aapko pane ki,
Par shayad aapki aadat hai hume tadpane ki.

> Wo raat dard aur sitam ki raat hogi,
Jis raat rukhsat unki baarat hogi,
Uth jate hain ye soch kar hum neend se aksar,
Ki ek gair baahon me sari Qaynat hogi.

> Pyar to kar lena lena har kisi ko hai aasan,
Mushkile hajaron hai pyar ko pane me,
Umar beet jati hai jisko ghar banane me,
Aag kyon lagti hai usi ke aasiyane me.

> Koi ruthe yaha to manane aata hai,
Ronewala khud hi chup ho jata hai,
Duniya bhul jaye to koi gam nahi hota hai,
Jab apne bhul jate hain to rona aata hai.

> Dard se dosti ho gayi yaaro,
Zindgi be-dard ho gayi yaaro,
Kya hua jo Jal gaya mera aasiyana,
Door tak roshni to ho gayi yaeron.

> Toote Khwabon ki tasvir Kab puri hoti hai,
Chand taron ke beech bhi doori hoti hai,
Dena to hume Khuda sab khuchh chahta hai,
Par uski bhi kuchh mazboori hoti hai.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off