SocialTwist Tell-a-Friend

April 21, 2010

105

> Karni khuda se kuchh fariyad baaki hai,
Abhi unse kahi kuchh baat baki hai,
Maut aayegi to kah denge,
Abhi ek pyar se Mulakat baaki hai.

> Jab se mausam badla hai,
Hawao ne apna rukh mod diya hai,
Jinki yadon ke sahare hum jeete the,
Suna hai unhone hume yad karna hi chhod diya hai.

> Har aahat mera Ehsaas dilayegi,
Har hawa humare kisse sunayegi,
Hum bhar denge aapki dil me itni yaad,
Ki na chahte hue bhi humari yaad aayegi.

> Unse door jane ka irada na tha,
Sada sath rahne ka wada unka na tha,
Wo yaad na karenge jante the hum,
Magar itni jaldi bhul jayenge wo andaja na tha.

> Ho nahi sakta ki mujhe aapki yaad na aaye,
Bhul kar bhi na bhulu ye wishwas na aaye,
Aap bhulo to aap par koi aanch na aaye,
Par mai bhulu to mujhe agli saans na aaye.

> Mehfil me na sahi tanhai me to yaad karoge,
Kabhi to us khuda se fariyad karoge,
Na mila hai na milega mere jaisa dost,
Kabhi to is baat pe naaz karoge.

> Teri yaad ne bura hal kar diya,
Tanha mera jina muhal kar diya,
Socha jo tumhe yaad na kare,
Dil ne dhadkane se inkar kar diya.

> Na wo aa sake na hum ja sake,
Na dard dil ka kisi ko suna sake,
Bas baithe hain yadon me lekar aas unki,
Na unhone ne yaad kiya aur na hum bhula sake.

> Apni duniya me kho na jana,
Door Rahkar hume bhul na jana,
Khabar humari ne le sako to koi gam nahi,
Magar apni khabar dena bhul na jana.

> Kab tak khud ko rok paoge,
Bine mere rah na paoge,
Hum bas jayenge tumhari yaadon me kuchh is tarah,
Ki doosron ko yaad karna bhool jaoge.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off