SocialTwist Tell-a-Friend

May 11, 2010

115

> Honth kah nahi sakte fasana dil ka,
Shayad nazron se hi wo baat ho jaye,
Is ummed se karte intzar raat ka,
Sapne me hi sahi mulakat ho jaye.

> Kaise kah de unse milne ki chahat nahi,
Dil ko ab bhi unke bina rahat nahi,
Bhula dete aapko bhi magar kya kare,
Kisi khas ko bhulane ki is dil ko adat nahi.

> Thoda sa dil ko udas kar liya karo,
Door rahne ka ehsas kar liya karo,
Humesa hum hi yad karte hain aapko,
Kabhi aap bhi hume yaad kar liya karo.

> Har lamha hum tumse door ho rahe hain,
Na jane is zindgi se kya kho rahe hain,
Khayal rakhna ki duriya itni na badh jaye,
Ki hum fir se ajnabi na ban jaye.

> Zindgi me fir kabhi mile jo hum kabhi,
Dekh kar na nazare jhuka lena,
Kahin dekha hai shayad aapko,
Bas itna KAH kar hath mila lena.

> Phool ki tarah haso to hum khus hai,
Mausam ki tarah Muskurao to khus hai,
Nahi kahte ki aa kar milo humse,
Bas yaad kar liya karo to hum khush hai.

> Waqt mila tab yaad karte ho,
Mood hua tab baat karte ho,
Ek zamana tha jab ek pal nahi rah sakte the,
Ab to ek zamane ke baad yaad karte ho.

> Kabhi kabhi aisa bhi hota hai,
Yaadon ka asar jara der se hota hai,
Aapko lagta hai hum kuchh nahi sochte aapke bare me,
Par har baat me jikar aapka hi hota hai.

> Soch kar uske bare me muskurate hain hum,
Khud ki kahani use sunate hain hum,
Jab bhi yaad karte hain usko,
Sari duniya ko us waqt bhul jate hain.

> Hum apne aap par kabi gurur nahi karte hain,
Kisi ko pyar karne par mazboor nahi karte,
Magar ek baar jise dil me basa le fir,
Marte dam tak use door nahi karte hain.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off