SocialTwist Tell-a-Friend

May 19, 2010

122

> Chahat ke parde me Nafrat hai mumkin,
To Nafrat ke parde me chahat bhi hogi,
Agar koi khafa hota hai tumhe apna samajh kar,
To usko tumse Mohabbat bhi hogi.

> Mere khwabo me wo teer chala kar chali gayi
Mai soya tha wo mujhe jaga kar chali gayi,
Maien usse puchha ki chand kaise nikalta hai,
To apne chahere se Julfe hata kar chali gayi.

> Koi chuupta hai, koi batata hai,
Koi hasata hai, koi rulata hai,
Pyar hai har kisi ko hai kisi na kisi se,
Fark itna hai koi AZMATA hai koi NIBHATA hai.

> Dil ki aawaz ko izhar kahte hain,
Jhuki Nigahon ko ikrar kahte hain,
Sirf 'JATANE' ka naam ishq nahi,
Kisi ki YAADON ME JEENE ko bhi pyar kahte hain.

> Ishq ne hume mazboor kar diya,
Har khushi se hume door kar diya,
Humne kabhi nahi chaha ki Ishq hume bhi ho,
Par unki nazron ne hume mazboor kar diya.

> Meri barbadi par koi malal na karna,
Bhul jana mera khayal na karna,
Hum teri khushi k liye kafan odh lenge,
Par tu meri lash se koi sawal na karna.

> Socha yaad na karke thoda tadpaun unko,
Kisi aur ka nam le kar jalaun unko,
Par chot lagegi unko to dard humko bhi hoga,
Ab ye batao kis tarah sataun unko.

> Suna hai wo dukhi hote hain to
Mujhe yaad karke muskurate hain,
Ab mai unke liye khushi ki Dua karun?
Ya Gam ki?

> Ek insaan mila jo jeena sikha gaya,
Aansuon ki nami ko pina sikha gaya,
Kabhi gujarti thi Veeranyon me Zindgi apni,
Wo shakhs Veerano me mehfil saza gaya.

> Soch kar uske bare me muskurate hain hum,
Khud ki kahani use sunate hain hum,
Jab bhi yaad karte hain usko,
Sari duniya ko us waqt bhul jate hain.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off