SocialTwist Tell-a-Friend

May 26, 2010

126

> Agar koi puchhe zindgi me kya khoya kya paya,
To Be jhijhak kehna k jo kuchh khioya wo meri nadani thi,
Aur jo bhi paya wo mere Rab ki meharbani hai.

> Mohabbat ki galiya gumnam kyon hai,
Judai aur maut ishq ka anjam kyon hai,
Log dete hain ise naam khuda ka,
Fir Mohabbat itni badnam kyon hai.

> Bina kahe jo sab kah kuchh kah jate hain,
Bina kasoor jo sab kuchh sah jate hain,
Door rah kar bhi jo apna farz nibhate hain,
Wahi rishte apne kahlate hain.

> Has kar jeena dastoor hai zindgi ka,
Ek yahi kissa mashoor hai zindgi ka,
Beete hue pal kabhi laut kar nahi aate,
Yahi sabse bada kasoor hai zindgi ka.

> Zindgi ke kitab ke jo panne hote hain,
Kuchh apne kuchh begane hote hain,
Khushiyo se sawar jati hai Zindgi,
Bas Rishte pyar se nibhane hote hain.

> Muskurahat bhi kabhi aansu de jati hai,
Nazren bhi kabhi dastan kah jati hai,
Gujre hue lamho ko kabhi yaad kar ke dekhna,
Tanhai bhi kabhi sukun de jati hai.

> Do pal ki zindgi ko khushi se bita do,
Kitna bhi ho gam dil se muskura do,
Kuchh aise jio zindgi ke har lamhe ko,
Ki use yaad nahi Yadgar bana do.

> Kab nikalta hai koi dil me bas jane ke bad,
Dard kitna hota hai bichhad jane ke bad,
Jo pas hota hai uski kadar nahi hoti,
Kami Mehsus hoti hai door jane ke baad.

> Ladki to bewafa hoti hai,
Kabhi na kabhi sath chhod deti hai,
Asli Mehbooba to Maut hoti hai,
Jo humesa saath le ke jati hai.

> Humare jeene ka ek alag andaz hai,
Ek Aankh me aansu to dusri me khwab hai,
Tute hue khwabo pe kuchh ashq baha lete hain,
Aur dusri aankh me fir se Khwab saja lete hain.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off