SocialTwist Tell-a-Friend

June 04, 2010

130

> Chhoti badi shararat ka name hai dosti,
Kahe ankahe rishto ka name hai dosti,
Din rat masti ka name hai dosti,
Par aap jaise log ke bina bejan hai dosti.

> Dosti ka pahla paigam aapke naam,
Zindgi ki Akhri shaam apke naam,
Rahe salamat Humari ye dosti,
Dosti salamat rakhna aapka kaam.

> Dosti ke panno se bhari kitab ho aap,
Rishton ke phoolon ka gulab ho aap,
Log kahte hain dost sachche nahi hote,
Logo ke sare sawalon ka jawab ho aap.

> Socha na tha kabhi aisi dosti hogi,
Manzilon ke sath rahen bhi hasti hongi,
Main jannat ke khwab kyon dekhun,
Sare dost sath honge to nark me bhi masti hogi.

> Dost aisa ho jo hume apna man sake,
Dil me chhupe har dard ko jan sake,
Chal rahe ho tez barish me hum,
To wo chehre ki boondon se aansu ko pahchan sake.

> Yaadon ka ye silsila banaye rakhna,
Dosti ki hai to ise nibhaye rakhna,
Jaan to nahi mangenge aapse magar,
Gujarish hai ki is jaan ke jane tak dost banaye rakhna.

> Maszid ki namaz ya mandir ki dua ho aap,
Ho Khuda ka Tohfa ya khud khuda ho aap,
Ae Mere dost khud hi karo Faisla,
Dil me Rahte ho aap ya dil ki jagah ho aap.

> Kafi waqt laga hume aap tak aane me,
Kaafi fariyaad ki khuda se aapko pane me,
Yun hi hum se door mat jana,
Humne umar laga di aap jaisa dost banane me.

> Kya pata kisse milne ko tarasta hai,
Na jane kiski yaad me tadapta hai,
Kambakht dil ki bewafai to dekho,
Seene me rah kar humare kisi aur ke liye dhadakta hai.

> Humari zindgi hai Doston ki amanat,
Rakhne mere khuda sada unko salamat,
Dena unko khushiyan sare jahan ki,
Ban jayen wo tareef har ek zuban ki.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off