> Ye dil na jaane kya kar baitha,
Mujhse puche bina hi faisla kar baitha,
Is zameen par tuta tara bhi nahi gitrta,
Aur ye pagal chand se pyar kar baitha.
> Har rat ko chand ka pyar nahi milta,
Har baag ho phulon ka dular nahi milta,
Maine bhi duniya dekhi hai dost,
Har insaan ko manchacha pyar nahi milta.
> Todna hota to rishta hum na banate,
Ummid na hoti to sapne na sajate,
Aitbar kiya hai humne aapki wafaon ko,
Bharosa na hota to dil ka hissa na banate.
> Kash shayari hum bhi likh pate,
Lafzon ke khel hum bhi khel pate,
Khuda ne dil par chot kuchh aisi di,
Aansuon ko chhupa ke kash hum bhi jee pate.
> Pyar karne se kuchh milta nahi,
Khwab dekhne se phool khilta nahi,
Aazma lo chahe kitni bhi baar,
Magar jo naseeb me na wo kabhi milta nahi.
> Ruthe jo zindgi to mana lenge hum,
Mile jo gam bhi to nibha lenge hum,
Bas tum rahna sath humare,
Bahte ashkon me bhi muskura lenge hum.
> Samjha lo apni yaadon ko,
Wo bin bulaye chali aati hai,
Aap to door rah kar sataya karte ho,
Wo paas aakar rulaya karti hai.
> Jiski aarzoo thi wo dil na mila,
Barso jiska intzar kiya wo pal na mila,
Ajeeb khel hai mohabbat ka,
Kisi ko hum na mile koi hume na mila.
> Kuchh sapne adhure rah jate hain,
Tab dil ke dard aansu ban jate hain,
Jo kabhi kahte the ki hum aapke hain,
Pata nahi kaise Alvida kah jate hain.
> Zindgi se humne kabhi kuchh chaha hi nahi,
Chaha jise bhi kabhi paya hi nahi,
Jise paya use kuchh yu kho diya jise,
Zindgi me kabhi koi aaya hi nahi.
June 29, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment