SocialTwist Tell-a-Friend

July 02, 2010

142

> Khamosh palko se bahkar aansu ate hain,
Aap kya jane aap kitna yaad aate hain,
Hum aaj bhi us mod par khade hain,
Jahan tumne kaha tha tum yahi ruko hum abhi aate hain.

> Hum na mile aapse fariyad milegi,
Hum jo mile aapse yaaden milengi,
Maut khamosh kar degi Zuban ko magar,
Aapko kadam kadam par humari aawaz milegi.

> Bhulana meri aadat nahi,
Yaddast chali jaye aur baat hai,
Aapki yaad aati hai har saans ke saath,
Agar meri saans hi toot jaye to aur baat hai.

> Agar ho waqt to mulakat kijiye,
Dil kuchh kahna chahe to baat kijiye,
Yu to mushkil hai humesa sath rahna,
Par ek lamha mil jaye to hume yaad kijiye.

> Khushi se dil ko aabad karna,
Aur har gam ko dil se aazad karna,
Humari bus itni si Gujarish hai ki,
Hume bhi dil me ek baar jarur yaad karna.

> Ban ke ajnabi mile the zindgi ke safar me,
In yaadon ke lamho ko kabhi mitayenge nahi,
Agar yaad rakhna fitrat hai aapki,
To hum bhi kabhi aapko bhulenge nahi.

> Jab aapka naam juban par aata hai,
Pata nahi dil kyon muskurata hai,
Tasalli hoti hai Man ko ye jan kar,
Koi to hai jo haste hue yad karta hai.

> Aapse door bhala hum kaise rah pate,
Dil se aapko kaie bhula pate,
Kaash aap saanso ke alaawa aaine me baste,
Khud ko bhi dekhte to aap najar aate.

> Har roj koi khwab toot jata hai,
Har roj koi apna ruth jata hai,
Na jane meri kismat me kya hai,
Jise yaad karta hun wahi bhool jata hai.

> Tanhai me fariyad to kar sakte hain,
Veerano ko abaad to kar sakte hain,
Kya hua jo aap se mil nahi sakte,
Lekin aapko dil se yaad to kar sakte hain.

> Patjhad me bahar le kar aayenge,
Khamoshi me Ikrar le kar aayenge,
Jab bhi pukaroge pyar se mera name,
Maut se bhi saanse udhar le kar aayenge.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off