SocialTwist Tell-a-Friend

October 15, 2010

157

> Aaj hai kal na jane kahan jayenge,
Hum wo pareende hain jo aasman me kho jayenge,
Dosti ki Dor se aise na baandho hume,
Kal na honge to aapke aansun nikal aayenge.

> Kaun sa zakhm tha jo taza na tha,
Zindgi me itne gam the ki andaza na tha,
Unki jheel si aankho ka isme kya kasoor,
Doobne wale ko gahrai ka andaaza na tha.

> Sar jhukane ki aadat nahi hai,
Aansu bahane ki aadat nah hai,
Hum kho gaye to pachhtaoge bahut,
Kyon ki hume laut kar aane ki aadat nahi hai.

> Mere pyar ko koi samajh na paya,
Rota tha tanha koi saath na aaya,
Kar diya barbad maine khud ko ukse liye,
Aur wo kahte hain mujhe pyar karna hi na aaya.

> Chale gaye jab wo chhod ke daman mera,
Mere tute hue dil ne Himakat kar di,
Socha tha ki chhupa lenege apne sare gam,
Par kambakht aankhon ne Bagawat kar di.

> Apno ko jab apne kho dete hain,
Tanhaiyon me wo ro dete hain,
Jinko humne apni palko par bithaya hai,
Wahi in palko ko aksar bhigo dete hain.

> Kuchh pal me Zindgi ki tasveer ban jati hai,
Kuchh pal me Zindgi ki tasveer badal jati hai,
Kisi ko paa ke kabhi khona mat,
Kyon ki ek Judai se zindgi bikhar jati hai.

> Samajh na sake unki baaton ko,
Hum pyar ke nashe me choor the,
Aaj samajh me aaya, jinke liye Jaan chhidkate the,
Wo dil todne ke liye mashoor the.

> Na Zindgi mili na wafa mili,
Na jane kyon har khushi humse khafa mili,
Jhuthi muskan liye gam chhupate rahe,
Sachchi mohabbat ki kya khoob saza mili hai.

> Kaun kahta hai wo mere bagair tanha hoga,
Wo ek chirag hai, kahin aur jalta hoga,
Wo to rahta hai pyar ke desh me,
Use kya khabar uske liye koi tadapta hoga.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off