SocialTwist Tell-a-Friend

October 15, 2010

158

> Bheegte rahe hain baarish me aksar,
Kabhi maangi kisi se panah to nahi,
Hasrat puri na ho to na sahi,
Khwaab dekhna koi gunaah to nahi.

> Mat zikra kijiye meri ada ke baare me,
Hum bahut kuchh jante hain wafa ke bare me,
Suna hai wo bhi pyar ka shaouq rakhte hain,
Jo Jante hi nahi wafa ke baare me.

> Aksar hum nashe me hote hai,
Aur Raat Gujr jati hai,
Humari is bebasi par raat muskurati hai,
Kabhi is Raat ki baat par hum bhi Muskurayenge,
Wo Raat Nashili hogi aur Hum Gujar jayenge.

> Saath na sahi tanhai to milti hai,
Mulakat na sahi Judai to milti hai,
Kaun kahta hai kuchh nahi milta ptar me,
Pyar na sahi bewafai to milti hai.

> Waqt to hume bhul chuka hai,
Muqaddar bhi na bhula de,
Pyar hum isliye nahi karte,
Kyon ki darte hain koi hume fir se rula na de.

> Chaht hai lekin Haqiqat nahi hai,
Aaj kal kisi ko kisi se mohabbat nahi hai,
Jo tumhe bhula de tum use bhula do,
Isse achchi koi nasihat nahi hogi.

> Maikhane me jaam tut jata hai,
Ishq me dil tut jata hai,
Na jane kya rishta hai in dono me,
Jaam chhute to Ishq yaad aata hai,
Aur Dil tute to Jaam yaad aata hai.

> Zindgi ko khushi se bitana sikh lo,
Apne armano ko chhupana sikh lo,
Gam aapko chhu bhi nahi payega,
Bas har baat pe muskurana sikh lo.

> Sab log rahgujar nahi hote,
Sath chalne wale bhi humsafar nahi hote,
Kitna khauf hota hai Raat ke andhere me,
Puchho un parindo se jinke ghar nahi hote.

> Khamosh chehre par hajaro pahre hote hain,
Hansti aankho me hi zakhm ubhare hote hain,
Jinse aksar ruth jate hain hum,
Asal me unse hi rishte gehre hote hain.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off