SocialTwist Tell-a-Friend

October 19, 2010

171

> Door hone se dosti me duriya nahi hoti,
Baat na hone se yaade kamjor nahi hoti,
Jo kisi se door hone se tut jaye,
Itni kamjor ye dosti ki dor nahi hoti.

> Jindgi gamo se door nahi hoti,
Aur har khushi dil ke karib nahi hoti,
Dosti ko pyar se saja kar rakhna mere dost,
Ye wo Ibadat hai jo sabko naseeb nahi hoti.

> Na mile kisi ka sath to hume yaad karna,
Tanhai ho to hume mehsoos karna,
Khushiya batane ke liye dost hajar rakhna,
Par gam batana ho to hume yaad rakhna.

> Royengi ye aankhe muskurane ke bad,
Aayegi raat din dhal jane ke baad,
Kabhi ruthna na mujhse mere dost,
Shayad ye zindgi na rahe tere rooth jane ke baad.

> Bhulana chaho to bhi yaad humari aayegi,
Dil ki gehrai me tasvir humari bas jayegi,
Dhudhne chale humse behtar dost jo,
Talash humse suru ho kar Hum par hi ruk jayegi.

> Khuda se koi baat anjan nahi hoti,
Magar insaan ki zindgi naakam nahi hoti,
Kabhi humne bhi maanga ek pyara sa dost,
Varna yu hi humari tumhari pahchan nahi hoti.

> Sahil pe moti kabhi mila nahi karte,
Dosti me kabhi gila nahi karte,
Hum achche na sahi bure hi sahi,
Par hum jaise bure log har kisi ko mila nahi karte.

> Yu dushmano ki kami nahi humare shahar me,
Magar ek sachcha dost milta hai koi-koi,
Kante to aksar mile jate hain fulon me,
Magar kaanton me phool khilta hai koi koi.

> Mohabbat ki haqiqat judai hoti hai,
Kabhi-2 pyar me bewafai hoti hai,
Humari taraf hanth badha kar to dekho,
Dosti me kitni sachchai hoti hai.

> Dukh me khushi ki wajah banti hai dosti,
Dard me yadon ki wajah banti hai dosti,
Jab kuchh bhi achcha nahi lagta hai duniya me,
Tab jine ki wajah banti hai dosti.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off