SocialTwist Tell-a-Friend

October 27, 2010

182

> Apne rishte par naaz hai hume,
Kal jitna bharosha tha utna hi aaj hai hume,
Rishte wo nahi jo sirf gam aur Khushi de,
Rishte wo hain jo apnepan ka ehsaas de.

> Hum mohabbat ki numaish nahi karte,
Hum labzon ki paimaish nahi karte,
Jise chahte hain dil se chahte hain,
Badle me chahne ki farmaish nahi karte hain.

> Nigahon me aur koi dosti ke kabil na raha,
Is kinare ka aur koi sahil na raha,
Chand jaisi dost mili hai hume zameen par,
Asman ka Chand ab deedar ke kabil na raha.

> Hum tumhe pa kar khona nahi chahte,
Judai me aapki rona nahi chahte,
Tum Humare hi rahna humesa,
Hum bhi kisi aur ke hona nahi chahte.

> Dur ho itne pas bulaye kaise,
Aapki dosti ab hum aajmaye kaise,
Baate to karni hai bahut si aapse,
Par baat karne ke bahane banaye kaise,

> Pyar ke bina zindgi veeran hoti hai,
Akele har rah sunsan hoti hai,
Sachche pyar ka hona jaruri hai zindgi me,
Kyon ki Pyar se hi zindgi aasan hoti hai.

> Meri saanso me ek ahat apki bhi hai,
Dil ki dhadkano me gungunahat aapki bhi hai,
Anjan hai aap is raj se ki,
Humari hasi me ek muskurahat aapki bhi hai.

> Aasman se unchi meri manzil hai,
Pariyon se sundar me khwab hai,
Sagar se gehra mera pyar hai,
Aur sare jahan se achcha mera yaar hai.

> Pyar kiya to unki mohabbat nazar aayi,
Dard hua humko to palke unki bhar aayi,
Do dilon ki dhadkan me ek baat nazar aayi,
Dil to unka dhadka par aawaz is dil se aayi.

> Alfaz ki shakl me ehsas likh jata hai,
Yani Pani ki pyasa likha jata hai,
Mere Jajbaat se Wakif hai meri kalam,
Mai yar likhu to aapka name likh jata hai.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off