SocialTwist Tell-a-Friend

October 27, 2010

181

> Dil pyara ho sakta hai par preet nahi,
Sagar gehra ho sakta hai par pani nahi,
Hum to humesa aapka sath nibhayenge,
Kyon Pyar ek tarfa ho sakta hai dosti nahi.

> Barasne ke baad badal ghira nahi karte,
Murjhane ke baad phool khila nahi karte,
Dosto ki ehmiyat abhi samajh lo,
Kyon ki bichhadne ke baad dost mila nahi karte.

> Aasman se tod kar tara diya hai,
Zindgi ki tanhaiyon me sahara diya hai,
Meri kismat bhi naaz karti hai mujhpe,
Khuda ne dost hi itna pyara diya hai.

> Dast ka Matlab:
Ek pyara sa dil jo kabhi nafrat nahi karta,
Ek Smile jo feeki nahi padti,
Ek Ehsas jo kabhi dukh nahi deta,
Ek mazbut rishta jo khatam nahi hota.

> Mujhko fir wahi suhana nazara mil gaya,
Nazro ko jo tumhara deedar mil gaya,
Aur kisi cheez ki tamanna kyon karun,
Jab mujhe aap jaise doston ka sahara mil gaya.

> Alfaz na nikle phir bhi aawaz hoti hai,
Kuchh lamho ki baat bahut khaas hoti hai,
Aap chahe mane na mane,
Lekin doston ki yaad humesa dil ke paas hoti hai.

> Khushiyon ko tanha mat hone dena,
Aakho ko kabhi rone mat dena,
Bahut khas dost ho aap humare,
Ye ehsas kabhi kam hone nahi denge.

> Ek vada hai aapse,
Pyar khud se jyada hai aapse,
Agar karam farmaya aapne aur khuda ne,
To har janam me dosti ka irada hai aapse.

> Palko se aankho ki hifajat hoti hai,
Dhadkan dil ki amanat hoti hai,
Ye dosti ka rishta bhi bada pyara hota hai,
Kabhi chahat to kabhi shikayat hoti hai.

> Zindgi sundar hai mujhe jina nahi aata,
Har chiz me nasha hai mujhe pina nahi aata,
Mai sabke bina jee sakta hun,
Bas mujhe dosto ke bina jina nahi aata.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off