SocialTwist Tell-a-Friend

October 27, 2010

189

> Ab intazar ki aadat si ho gayi hai,
Khamoshi ek halat si ho gayi hai,
Na sikwa na sikayat hai kisi se,
Kyon ki Tanhai se ab mohabbat si ho gayi hai.

> Aakhiri saans par dhadkan ka pata chala,
Samshan me meri jalti hui laash ka pata chala,
Jab ek-ek raakh ko uda kar le gayi hawa,
Tab mere yaar ko mere ghar ka pata chala.

> Wo rat Dard aur Sitm ki rat hogi,
Jis Rat Rukhsat unki Barat hogi,
Uth jate hain ye soch kar need se aksar,
Ki kisi Gair ki baahon me meri sari Qaynat hogi.

> Har pyar me izhar nahi hota,
Ye dil yu hi bekrar nahi hota,
Wo khush rahe hum jee lenge,
Par unke bina dhadkano ka ehsas nahi hota.

> Maut se do pal mange kisi ki jhalak pane ko,
Gaye dar par unke unhe manane ko,
Wo is kadar ruthe hai humse,
Ki khud dua kar rahe the meri maut aane ko.

> Dua na karna humare liye,
Hume Dua ki jarurat nahi,
Karni ho to Baddua karna humare liye,
Kyon ki ab humari kisi ko jarurat nahi hai.

> Aansu palko par aa nahi paye,
Dard itna tha ki hum muskura nahi paye,
Wo humse door hai ye unki khata nahi,
Shayad hum hi thik se pyar nibha nahi paye.

> Wo haskar mile humse pyar samajh baithe,
Bekar ke ulfat ko izhar samajh baithe,
Itni achchi to nahi apni kismat,
Fir kyon khud ko mohabbat ka Haqdar samajh baithe.

> Bahut chaha aapko bhula na sake,
Kisi aur ko khayalo me la na sake,
Kisi ko dekha to aansu to poch liye,
Par kisi aur se mil ke Muskura na sake.

> Hase hum kismat ko gawara na tha,
Jo humare liye chamke aisa koi sitara na tha,
Har waqt hum kuchh na kuchh khote rahe,
Kyon hum wo pana chahte rahe jo humara na tha.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off