SocialTwist Tell-a-Friend

October 27, 2010

188

> Teri kami bhi hai tera ehsas bhi hai,
Tu Door bhi mujhse aur pas bhi hai,
Khuda ne yu nawaza teri dosti se,
Mujhko khud par gurur aur tujh pe naaz bhi hai.

> Pata nahi tha zindgi me aapsa koi dost aayega,
Lekin agar khuda ne bakshi zindgi dubara,
To aapki kasam Ye dil fir se aapko hi dost banayega.

> Khushiyo par fijaon ka pehra hai,
Na jane kis ummed par dil thehra hai,
Humari aankho se jhalakte dard ki kasam,
Aapki dosti ka rishta pyar se bhi gehra hai.

> Pyar me chehre bhulaye nahi jate,
Dosti me ehsan ginaye nahi jate,
Hum to bahut khush kismat hai,
Kyon ki aap jaise dost bar-bar banaye nahi jate.

> Lamhe honge mulakat bhi hogi,
Hum sath hai to fir baat bhi hogi,
Jab kabhi jarurat ho to bas mud kar dekhna,
Meri dosti humesa tumhare sath hogi.

> Haqikat ki raho me sapne tut jate hain,
Mausam badle to phool bhi murjha jate hain,
Kabhi hume bhi yaad kar liya karo,
Ae dost fir mat kahna ki hum kyon ruth jate hain.

> Kisne is dosti ko banaya,
Kahan se ye dosti word aaya,
Dosti ka sabse meetha fal to maine khaya hai,
Kyon ki duniya ka sabse pyara dost maine paya hai.

> Kuchh raz aise hote hain jinhe hum bol nahi sakte,
Kuchh dil aise hote hain jinhe hum tod nahi sakte,
Kuchh dost aap jaise bhi hote hain jinhe hum chhod nahi sakte.

> Na dil me bas kar bhulaya karte,
Na Has kar rulaya karte,
Kabhi mehsus kar ke dekh lena,
Hum jaise to dil se rishte nibhaya karte hain.

> Khamosh rat ke pehlu me sitare nahi hote,
Rukhi aankho me rangeen nazare nahi hote,
Hum bhi na karte parwah aapki,
Agar aap itne pyare nahi hote.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off