SocialTwist Tell-a-Friend

January 06, 2011

194

> Jineka maksad mohabbat me pa liya,
Jiska bhi gam mila apna liya,
Aap ro kar bhi gam ko halka na kar sake,
Humne hasi ki aad me har gam chhupa liya.

> Gujra waqt dil ki baat sunayega,
Kabhi sath the hum har pal yaad ayega,
Gaur se palatna zindgi ke panno ko,
Kabhi na kabhi to humara naam nazar aayega.

> Jinke dil me lagti hai wo aankho se nahi rote,
Jo apno ke nahi hue wo kisi ke nahi hote,
Waqt ne mujhe aksar sikhaya hai,
Sapne tut jate hain par pure nahi hote.

> Rab dil ke irade ajmata hai,
Khwabo ke parde aankho se hatata hai,
Hosla nahi karna hai zindgi me hume,
Kyonki thoda dard hi hume jeena sikhata hai.

> Zindgi jab rulane lage,
Itna muskurao ki dard bhi sharmane lage,
Nikale ne aansu aankho se kabhi,
Or kismat bhi majboor hokar hasane lage.

> Aaj hai! jane kal kaha jayenge?
Hum wo parinde hai jo aasman me kho jayenge,
Rishto ki dor se aise na baandh lo hume,
Kal nahonge to aansu nikal aayenge.

> Agar Rasta khubsurat hai
To pata kijiye kis manzil tak jata hai,
Lekin agar khubsurat hai to,
Raste ki parwah mat kijiye.

> Khwab tut ke bikhare to Haqikat samajho,
Koi apna kabhi ruthe to Mohabbat samajho,
Dur rahkar jo yad use chahat samajho,
Agar jise chao wo mil jaye to kismat samajho.

> Na jane mujhse jamana kya chahta hai?
Mera dil tod ke mujhe hasana chahta hai,
Na jane kya baat jhalakti hai mere chehre se,
Har sakhs mujhe ajmana chahta hai.

> Dharti ka gam chhupane ke liye gagan hota hai,
Dil ka gam chhupane ke liye badan hota hai,
Mar ke bhi chhupane honge Gam,
Shayad isiliye Har lash par ek Kafan hota hai.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off