SocialTwist Tell-a-Friend

January 12, 2011

206

> Kash humari bhi parwah kisi ne ki hoti,
To ye duniya humse ruswa na karti,
Aata aapki tarah muskurana hume bhi,
To humse bhi kisi ne mohabbat ki hoti.

> Na rahi aaj wo apni kahani,
Na wo hasin din na wo rat suhani,
Phir bhi aziz hai unki har nishani,
Chahe dil ka dard ho yaa aankho ka pani.

> Bahut udas hai koi shaks tere jane se,
Ho sake to laut aa kisi bahane se,
Tu lakh khafa sahi magar 1 bar to dekh,
Koi toot gaya hai tere rooth jane se.

> Bhar aayi aakhe jo uska naam aaya,
Ishq naakam fir bhi bahut kaam aaya,
Humne ishq me aisi bhi gujari he raate,
Jab tak aansu na bahe dil ko aaram na aya.

> Ek nazar bhi dekhna gawara nahi unhe,
Zara bhi ehsas humara nahi unhe,
Wo shahil se dekhte rahe doobna humara,
Hum bhi khuddar the pukara nahi unhe.

> Kasti ke musafir ne samandar nahi dekha,
Aankho ke dekha par dil me utar kar nahi dekha,
Patthar dil samajhte hain chahane wale mujhe,
Hum to mom the kisi ne chhukar nahi dekha.

> In aankho ne dekha unhe or dil me panah di,
Humne apni jaan samajh kar unhe itni chah di,
Jab humne puchha sath doge,
To unhone bhul jane ki salah di.

> Ek umar bit gayi uske pyar me,
Hum sab kuchh har gaye is sansar me,
unhone kiya na yad hume bhul ke bhi,
Aur hum yad ban kar rah gaye unki yard me.

> Leke hum dusro ki hasi kay kare,
jo apni nahi wo khusi kya kare,
Tanha jine se behtar hai mar jaye hum,
Jab sath tum nahi to zindgi jee kar kya kare.

> Dekha hai humne ye aazma kar,
Dhokha de jate hain log aksar pas aa kar,
Kehti hai duniya fir bhi dil nahi manta,
Kya aap bhi chhod denge hume apna bana kar.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off