SocialTwist Tell-a-Friend

January 17, 2011

213

> Jab Jab aapse milne ki ummid nazar aayi hai,
Mere pair me Zanzeer nazar aayi hai,
Gir Pade hain aankh se aansu,
Aur har Boond me aapki tasveer nazar aayi hai.

> Hume ashqo se jakhmo ko dhona nahi aata,
Milti hai khushi to use khona nahi aata,
Seh lete hain har gham muskura kar,
Aur log kahte hain hume rona nahi aata.

> Badal gayi rah magar hum khoye nahi,
Dard tha dil me magar hum roye nahi,
Koi nahi humara jo puchhe humse,
Jag rahe ho kis liye ya kisi ke liye soye nahi.

> Tute hue phool khusbu de jate hain,
Beete hue pal yaade de jate hain,
Har dost ka andaz hai apna apna,
Koi labo pe hasi koi aankho me aansu de jate hain.

> Falak me apni jannat ke sitare nahi,
Hum unke nahi wo humare nahi,
Chhoti si naav le kar samandar me utar gaya.
Jahan door door tak kinare nahi.

> Ishq ne diya hai hume wo zakhm,
Ki wafa ke naam se ghabrate hain
Dil ke dard aansu bankar nikalte hain,
Is liye har waqt muskurate hain.

Rahna> to chahte the sath unke,
Par is zamane ne rehne na diya,
Kabhi waqt ki khamoshi me khamosh rahe,
To kabhi unki khamoshi ne kuchh kahne na diya.

> Kya mila pyar me zindgi ke liye,
Roz ansu piye humne kisi ke liye,
Wo gairo me khusiya manate rahe,
Hum traste rahe ek hasi ke liye.

> Kisi apne ko khona wo kya jane,
Bina neend ke sona wo kya jane,
Us shaks ne to mujhe mehfilon me muskurate dekha hai,
Mera tanhai me rona wo kya jane.

> Mehfil me hasna humara mijaj ban gaya,
Tanhai me rona ek raz ban gaya,
Dil ke dard ki chehre se jahir hone na diya,
Yahi Zindgi jeene ka andaj ban gaya.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off