SocialTwist Tell-a-Friend

March 05, 2011

227

Mat karo koi tamanna jisse dukh mile,
Mar rakho aisi koi khwahish jisse gum mile,
Bas chaho use jisse pyar mile,
Chahe fir wo apko mile na mile.

Zindgi ne kai sawalat badal diye,
Waqt ne mere halat badal diye,
Bure to hum kabhi the hi nahi,
Par na jane kyon logo ne apne khayalat badal diye.

Jab bhi bhagwan se kuchh mango,
To dimag nahi naseeb mangna,
Kyon ki maine Dimag walo ko
Naseeb walo ke yaha kaam karte dekha hai.

Waqt ki tez dhoop ho ya tez aandhiya,
Kuchh kadmo ke nishan kabhi nahi khote,
Jinhe yaad kar ke muskura de aankhe,
Wo log door ho kar bhi kabhi door nahi hote.

Palko se aankho ki hifazat hoti hai,
Dil to dhadkan ki amanat hoti hai,
Ye sms ka Rishta bhi bada ajib hai,
Karo to takleaf aur na karo to shikayat hoti hai.

Har Achi cheez ka bura jawab nahi hota,
Har husn Lajawab nahi hota,
Nazar to nazaro se milti hai,
Har nazar ka matlab pyar nahi hota hai.

Bahut roye the hum jab humara janam hua tha,
Aur has rahi thi ye duniya hume rota dekh kar,
Badla lenge hum bhi ek din maut k waqt,
Sabhi Royenge us waqt hume hasta dekh kar.

Marte-Marte Jeena Zindgi hai,
Rote-Rote hasna zindgi hai,
Is zindgi ko jeena badi shan se,
Kyoki kisi aur ke liye bhi jeena zindgi hai.

Duniya ka har shauk pala nahi jata,
Kaanch ke khilauno ko yu uchhala nahi jata,
Mehanat karne se mushkile hoti hai aasan,
Har kaam taqdeer par dala nahi jata.

Ho jo najdeek wahi dua karte hain,
Door hote hain to majboor hua karte hain,
Wo na samjhe to unka koi kasoor nahi,
Kyon ki nasamjh log hi bekasoor hua karte hain.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off