SocialTwist Tell-a-Friend

May 02, 2011

252

> Kisi khusnaseeb ki taqdeer hai aap,
Kisi ke khwabo ki sachi taqdeer hai aap,
Aur kya kahe aap ki shan me,
Mere hatho dosti ki lakeer hai aap.

> Waqt fisalta hai ret ki tarah,
Hum bas unhe sambhalna bhul jate hain,
Kuchh log bahut khas hote hain zindgi me,
Hum bas unhe batana bhul jate hain.

> Taqdeer ke rang kitne ajeeb hai,
Anjane rishte hain fir bhi kareeb hain,
Har kisi ko aap jaise dost nahi milte,
Mujhe aap mile ye mera naseeb hai.

> Dosti ke panno se bhari kitab hai aap,
Rishton ke phulo ka gulab ho aap,
Log kahte hain dosti achchi nahi hoti,
Magar logo ke sawalo ka jawab ho aap.

> Kuchh dosti karte hain nibhane ke liye,
Kuchh log dosti karte hain bhul jane ke liye,
Dosti karo to aise karo ki,
Dono Tadpe ek dusre ke pas ane ke liye.

> Teri dosti ne bahut kuchh sikha diya,
Meri khamosh duniya ko jaise hasna sikha diya,
Karzdaar hun mai us khuda ka,
Jisne mujhe aap jaise dost se mila diya.

> Bina khwabo ke bhi koi so paya hai,
Bina yado ke bhi koi kho paya hai,
Dost dil ki dhadkan hai,
Kya koi dil dhadkan se juda ho paya hai.

> Apni khushi yar ke dil ki dua hai,
Apna gum yaar ki muskan me fana hai,
Mere farz par kabhi sukriya na kehna,
Kyon ki Teri hasi me hi meri duniya hai.

> Waqt bahut kam hai sath bitane me,
Ise na gawana kabhi ruthne manane me,
Rishta to humne bandh liya hai dosti ka apse,
Bas thoda sa sath dena ise nibhane me.

> Kyon mushkilon me sath dete hain dost,
Kyon gam ko baant lete hain dost,
Na khoon ka rishta na riwaz se bandha,
Fir bhi zindgi bhar sath nibhate hain dost.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off