SocialTwist Tell-a-Friend

March 17, 2010

83

> Sirf Rishton ke bandhan ko vishwas nahi kahte,
Har aansu ko jajbaat nahi kahte,
Kismat se milte hain dost zindgi me,
Isliye dosti ko Ittefak nai kahte.

> Karni hai khuda se ek gujaris,
Teri dosti ke siwa koi bandigi na mile,
Har janam me mile dost tere jaisa,
Ya fir kabhi Zindgi na mile.

> Ek Lafz me kya tareef karun apki,
Aap Lafzon me kaise sama paoge,
Bas Itna jan lo ki jab log dosti ke bare me puchhnege,
To meri aankhon me sirf aap hi nazar aaoge.

> Dosti nam nahi sukh-dukh ki kahani ka,
Dosti Raj hai sada muskurane ka,
Ye koi pal-do-pal ki pahchan nahi,
Dosti farz hai umar bhar nibhane ka.

> Lage na nazar is Rishte ko jamane ki,
Pade Na jarurat kabhi ek dusre ko manane ki.
Aap na chhodna dosti ka sath,
Warna tamnna na rahegi fir dost banane ki.

> Tum dost ho mere Sada ke liye,
Main Zinda hun Tumhari wafa ka liye,
Kar lena laakhon sikwa mujhse,
Magar na hona Kafa Khuda ka liye.

> Dosti ko man se jataya aapne,
Door hote huye bhi Sath nibhaya aapne,
Kabhi bhul nahi payenge aapko,
Kyon ki yaad rakhna bhi sikhaya aapne.

> Kuchh log Dosto ko rula dete hain,
Dosti kitni anmol hai Bhula deta hain,
Dosti karna hai to Gulabon se seekho,
Jo khud tut kar do dilon ko mila dete hain.

> Lambi hai manzil door hai kinara,
Kyon nahi aat ab msg tumhara,
Bhool gaye naam ya number humara,
Ya mil gaya koi humse bhi pyara.

> Itna Khusnaseeb to hum na the,
Humari taqdeer me sitam kam na the,
Fir kyon hum khuda ko itna bha gaye,
Ki ban kar dost aap humari zindgi me aa gaye.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off