SocialTwist Tell-a-Friend

May 05, 2010

111

> Ek phool bhi aksar baag saja deta hai,
Ek hi sitara sansaar chamka deta hai,
Jahan duniya bhar ke rishte kaam nahi aate,
Waha ek dost zindgi bana deta hai.

> Roj dikhne wale dil se door hote hain,
Door rahne wale dil ke kareeb hote hain,
Dil ki ek baat bata dun,
Apse Roz milne wale khusnaseeb hote hain.

> Meri Dosti ki kahani aapse hain,
In saanso ki rawani aapse hai,
Aye dost mujhe kabhi bhula mat dena,
Is dost ki zindgani aapse hai.

> Baharo ki Mahfil suhani rahegi,
Labon par khushi ki kahani rahegi,
Chamakte rahenge khusiyon ke sitare,
Agar aapki dosti ki meharbani rahegi.

> Kar sake jis rishte par naaz wo dosti hai,
Chhupa le har raz wo dosti hai,
Jeevan ka har saaz dosti hai,
Jo hai har dard ka ilaaz wo dosti hai.

> Rishto me bhi dost mila karte hain,
Kaanto me bhi phool khila karte hain,
Ae dost hame Kaanta samjah kar Bhula mat dena,
Kyon ki kaante bhi Phool ki Hifajat kiya karte hain.

> Koi dost aisa banaya jaye,
Jiske aansu palko me chhupaya jaye,
Rahe us ka mera rishta kuchh aisa,
Ki agar wo rahe usdas to humse bhi muskuraya na jaye.

> Aapka aashiyana dil me basaya hai,
Aapki yaadon ko sine se lagaya hai,
pata nahi yaad aap ki hi kyon ati hai,
Dost to humne auron ko bhi banaya hai.

> Muskurana hi khushi nahi hoti,
Umar bitana hi zindgi nahi hoti,
Khud se jyada khayal rakhna hota hai,
Zindgi me dost banana hi dosti nahi hoti.

> Aasman se tod kar TARA diya hai,
Aalme-e-tanhai me SAHARA diya hai,
Meri Kismat bhi NAAZ karti hai mujh par,
Khuda ne DOST hi itna pyara diya hai.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off