SocialTwist Tell-a-Friend

May 13, 2010

117

> MUSAFIR KA KABHI AITBAR MAT KARNA,
DOSTI KI HADO KO PAAR MAT KARNA,
KHO DOGE USE HUMESHA KE LIYE,
ISLIYE JO ACHCHA LAGE USSE KABHI PYAR MAT KARNA.

> Bheegi aankho se muskurane ka maza aur hai,
Haste haste palke bhigane ka maza aur hai,
Baat keh kar to koi bhi samjha le,
Khamoshi ko samjhne ka maza aur hai.

> Bujhi hui shama fir jal sakti hai,
Tufano me giri kashti kinare lag sakti hai,
Mayus na hona kabhi zindgi me,
Ye kismat hai kabhi bhi badal sakti hai.

> Jo badal jaye wo yaar kaisa,
Jo chhod jaye wo saath kaisa,
Log aksar kahte hain mujhe fir se pyar ho gaya hai,
Jo fir se ho jaye wo pyar kaisa.

> Kahnte hain dukh bura hota hai,
Jab aata hai rula deta hai,
Par hum kahte hain yahi sahi hai,
Jab aata hai apno ki pehchan kara deta hai.

> Dil se teri yaad ko juda nahi kiya,
Rakha jo tujhe yaad bura to nahi kiya,
Humse log hai naaraz kis liye,
Humne kabhi kisi ko khafa to nahi kiya.

> Kaun kahta hai uske bin mai mar jaunga,
Mai to dariya hun sagar me utar jaunga,
Wo taras jayenge pyar ki ek boond pane ko,
Mai to badal hun kahin pe bhi baras jaunga.

> Takdir ke khel se nirash nahi hua karte,
Zindgi me kabhi use udas nahi karte,
Hatho ki lakiron pe yakin nahi kariyega kabhi,
Kyon ki Tadeer to unki bhi hoti hai,
JINKE HATH NAHI HUA KARTE.

> Kitabo me likha hai Phool todna mana hai,
Baagaon me likha hai Phool todna mana hai,
Sabse keemti cheez hoti hai dil,
Kyon kahin nahi likha DIL TODNA MANA HAI.

> Jana kahan tha aur kahan aa gaye,
Duniya me ban ke mehmaan aa gaye,
Abhi t book khuli bhi nahi thi,
Aur na jane kahan se EXAM aa gaye.

0 comments:

Post a Comment

 


Last Update - 2011, MAY 29
Sunday Off